Gham ki baarish ne bhi
Gham ki baarish ne bhi tere naqsh ko dhoyaa nahin
tune mujh ko kho diya maine tujhe khoya nahin
neend ka halka gulabi sa Khumaar aankhon mein tha
yun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin
har taraf deewar-o-dar aur un mein aankhon ka hujum
kah sake jo dil ki haalat vo lab-e-goya nahin
jurm aadam ne kiya aur nasl-e-aadam ko saza
kaat raha hun zindagi bhar maine jo boya nahin
janta hun ek aise shakhs ko main bhi Janab
Gam se patthar ho gaya lekin kabhi royaa nahin
No comments:
Post a Comment