Friday, July 14, 2006

Humsafar Banke Tum

humsafar banke hum saath hai aaj bhee
fir bhee hai ye safar ajnabi ajnabi
raah bhee ajnabi mod bhee ajnabi
jaayen hum kidhar ajnabi ajnabi

zindagi ho gayee hai sulagta safar
door tak aa raha hai dhuaaN sa nazar
jaane kis mod par kho gayee har khushi
deke dard-e-jigar ajnabi janabi

humne chun chun ke tinke banaaya tha jo
aashiyaaN hasraton se sajaaya tha jo
hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhee
lag raha hai magar ajnabi ajnabi

kisko maaloom tha din ye bhee aayenge
mausamon kee tarah dil badal jaayenge
din hua ajnabi raat bhee ajnabi
har ghaDi har pahar ajnabi ajnabi .

No comments: