TUM MERE KIYA HO?
Jo mujh se poocha hai aaj tum ne
ke main tumhara kia hoon, bataoun
tu khud hi socho....tum aik pal ko
bhala main kese tumhain bataoun
hai tum se mera wohi taaluq
gulloon se hota hai jo mehak ka
main badan hon tum is ki jaan ho
bahar-e-mousam ke tarjuman ho
Lahoo ki soorat meri ragon main
her aik lamha rawan dawan ho
makeen hon main tum makaan ho
zameen hon main tum aasman ho
wohi taaluq hai tum se mera
jo dill se hota hai dherkanon ka
khumaar se hai me-kashoon ka
shaiyeroon se jo mah-washoon ka
kisi aankh ke mast dorroon se
us ke mehboob ki jhalak ka
jo husn walon se dil jalon ka
jo raston se hai manzilon ka
dharti se jo hai perbaton ka
wohi jo sagar se sahiloon ka
samandron se jo seep ka hai
wohi jo ankhon se deep ka hai...
jo rooh se hai kisi badan ka
wohi jo chanda se hai keran ka
jo baghban se kisi chaman ka
hai guftagoo se kisi dehan ka
jo baarishon se hai zameen ka
ebadaton se jo hai jabeen ka
tumhi ujala..tumhi saba ho
tumhi arzoo ho tumhi wafa ho
tamam jazboun ki inteha ho
kiun na tum per yeh dil fida ho?
tumhi baharon ki dilkashi ho
tumhi tu aankhon ki roshni ho
jo ho sakay tu khayal rakhna
tumhara mujh se wo hi hai rishta
jo apnay saaye se hai shajar ka
wohi jo khursheed se Qamar ka
mallaaika se jo bandagi ka
jo mernay walon se zindagi ka
wohi taaluq....
azal se apnay bhi dermiyan hai
batao janaan ! hai itna kafi?
ke aur kuch bhi tumhain bataon
No comments:
Post a Comment